QAMYAB INSAN KA FALSAFA
Qamyabi apki zindagi mein woh hai jiske liye har ek insan aj ke waqt mein betab hai chahe woh koi bhi ho har koi qamyab hona chahta hai pr sawal yeh nhi hai kaun hona chahta hai sawal yeh hai kaun qamyab hota hai aur qamyab aqsar wahi hota hai jo us qamyabi ko pane ke liye dilo jaan se mehnat karta hai aur apki zindagi mein qamyabi ki shuruaat ek din mein nhi hoti ek hafte mein nhi hoti yeah ek saal mein nhi apki qamyabi ki shuruaat us waqt hoti hai jab ap qamyab hone ka soch lete hai.... Qamyab insan aqsar apni zindagi mein apni adato ke wajah se hota hai apki zindagi mein apki adate apki aane wal kal ki shuruaat karti ab woh qamyabi ke taraf le jayegi yeah phir naqamyabi ke taraf yeh apki adate batati hai... Apki zindagi mein QAMYABI ek compound effect ki tarah kaam karta hai yeh apki adato se shuru hokar apke liye hue faisle apka us pr yaqeen apka us pr hardwork jab yeh sab milkar ek hota hai tab ek insan qamyab insan kehlata hai...... Apki soch apki qamyabi aur ...